Pakistani awaam ki baat to hum rozana protocol mein phirne walay leadron se sunte hain magar aaj baat karte hain awaam ke mukhalif, yani khawas, ki.
Agar awaam “aam” ki jama hai to khawas “khaas” ki. Magar ye khaas log kaun hain?
Pakistani society ke khawas wo hain jin ke paas paisa, wasayel, taqat, aur awaam par zulm o istehsal karne ki quwat hai.

Humaray mulk mein teen tarah ke khawas hain jin mein se ek to dikhta bhi nahi.
1. Dalaal Sarmayadaar
Humaray yahan sarmayadari angrezon ke dour mein shuru hui aur hamara sarmayadaar ussi daur mein paida hua. Jo pehle East India Company ki dalali karta tha aur aaj multinational companyon aur America o Cheen ke sarmaye ke saath juda hai.
Is mein Mian Mansha aur Malik Riaz jaise baray baray afraad shamil hain.

Ye banks, industries, real estate se le kar construction tak, har qisam ke karobar karte hain, jaise FWO.
In ke qabze mein tamam resources hotay hain: zameen, material, machinery, paisa aur inki buniyad par labor.
Ye mazdooron ka istehsal karte hain, kam ujrat dete hain, unions banne nahi dete, zameenon par qabza karte hain, har qisam ki corruption kar ke thekay aur wasayel hathiya lete hain, aur kala dhan safed karte hain.
Magar sab se barh kar ye ke in sab par control ke bawajood ye hamaray wasayel, mehnat aur dolat ko beironi taqaton ko aoney poney bech dete hain. Isi liye hamari economy ki ye haalat hai.
2. Jageerdar
Ye wo khawas hain jin ke paas acres aur acres zameenein hain, aur dehaat ki bari abadi unki zameenon par baghair kisi ujrati nizaam ke, unki mun maani ke mutabiq kaam karne par majboor hai.
Kai kisaan to aise hain jinke pardada ne chhota sa qarza liya tha aur aaj tak unki naslain jageerdaron ki zameenon ya bhatton par intehai bure halaat mein kaam kar rahi hain magar qarza khatam nahi hota.

Inki apni adalatein aur apni jails hoti hain, aur jurm ki fehrist mein sab se bara jurm inki nafarmaani hoti hai.
Kya siyasatdaan, judge, bureaucrat aur general sab ya to in hi ke khandanon se aate hain ya in se haath mila kar awaam ko control mein rakhte hain.
Ye khawas hamare mulk ki taraqqi mein sab se badi rukawat hain, kyunke kisi bhi qisam ki taraqqi inke liye maut hai.
3. Imperialist Sarmayadaar
Ye aise khaas khawas hain jo nazar tak nahi aate. Hai na kamaal ki baat?
Ye hain hamare asal maalik. Hamare sarmayadaar hon ya jageerdar ya hamari riyaasat, sab inke ghulaam hain. Ye 1947 se pehle tak ham par seedha hukoomat karte thay, aur ab apne sarmaye ki dalali karne walay sarmayadaron aur jageerdaron ke zariye hamara istehsal karte hain.
Ye IMF aur World Bank ke zariye hamein qarzon mein phansate hain.
Reko Diq, CPEC jaise projects aur British Petroleum jaisi companies ke zariye hamaray wasayel loot-te hain. Soorti Textile jaisi local industries saara maal bana kar H&M aur Zara jaise imperialist multinational companies ko sirf 10% ke daam par bechti hain, aur wo tag laga kar 90% munafa apni jeb mein daal lete hain.
Inho ne ham par policies nafiz kar ke aisa ghan-chakkar bana diya hai ke hamari economy hamesha unke chungal mein rehti hai aur kabhi azaad nahi ho paati. Iske ilawa ye apni fauji taqat aur paise ke zariye hamein apni jangon mein bhi istemal karte hain, jaise Afghanistan ki jang ya Palestine ke Trump plan par support ka maamla.

Sab se eham ye ke ye taqatain hamare culture par bhi ghalib hain, jahan hum unke liberal khayalat apne mulk mein import karte hain, apni zabanon se zyada unki zaban yani angrezi seekhne ki koshish karte hain aur is par fakhar bhi karte hain.
In khawas ke paas kuch idaray bhi hain jinhein wo apne paisay aur taqat ko mehfooz rakhne ke liye istemal karte hain.
In idaron ke majmue ko hi hum “riyaasat” ke naam se jaante hain.
Parlimaan aur Siyasatdaan
Corruption ke zariye wo siyasatdano ko khareedte hain aur apne wasayel (jese paisa, zameen aur taqat) ko istemal kar ke apni marzi ki policies, qawaneen aur bills pass karwate hain.
Hamari riyaasat kyun sirf wahi qanoon banati aur manzoor karti hai jo awaam ke haq mein nahi balkay ameer ko ameer rakhne ke liye ho? Hamare khawas ki wajah se.

Fauj, Police aur Bureaucracy (Intizaamiyya)
Hamari riyaasat ke paas teen baray qanoon nafiz karne aur istehsali nizaam ko qayem rakhne walay idaray hain.Magar police aur rangers un mujrimoon ke peechay kyun nahi jaati jo khud khawas mein se hain?
Aur AC/DC sahiban un tajawuzat ko giranay ke hukm kyun nahi jari karte jin par baray baray plaza aur elite housing schemes qabze kar ke banayi gayi hoti hain?
Aisa kyun hai ke 90 feesad budget hone ke bawajood hamari fauj ke commercial projects la’ta’adad hain?
Aisa kyun ke riyaasat ka zulm, chahe wo missing persons ka issue ho, kisano ki ghulami ho, ya mazdooron ke huqooq ki pamali, kabhi bhi insaaf tak nahi pohanchta?

Adliya
Hamari adliya bhi inhi khawas ke mufadaat ki hifazat karti hai.
Tabhi to Gujrannala leases hone ke bawajood bhi masmaar kar di jati hai,aur Bahria Town par ye sabit hone ke bawajood bhi ke wo qabze ki zameen par hai, chhota mota jurmana laga kar banane diya jata hai.
Okara mein kisano ko bedakhal kar ke military farms banaye jate hain,aur jab kisaan iske khilaf tehreek chalate hain to un par dehshatgardi ke muqadmaat chala kar jail bhej diya jata hai.
Jabri mehnat aur peshgi ke nizaam ko khatam karne ka hukoomat aur adliya ilan to kar chuki hain, magar jabri mehnat karne walay aaj bhi ghulami ki zanjeeron mein jakray hue hain, aur adalat hamesha malikan ke haq mein faisla deti hai.

Media
Censorship, sahafiyon ka qatal, aur PEMRA ke na khatam hone walay dabao is baat ka saboot hain ke khawas nahi chahte ke unka zulm aur andarooni soday awaam tak pohanchain.

Iske ilawa saare media houses imperialist aur local sarmayadaron ke hain, aur un se ads bhi lete hain,lehaza mazdooron ki koi khabar koi chalata hi nahi.
TV kholen to bas hukmaranon ki apni ladai ke ilawa koi khabar nahi dikhti.
Fauj, adliya aur parlimaan ke darmiyan kya rassa kashi hai,ya Imran Khan, Nawaz Sharif, Bhutto, Zardari aik dosray ke khilaf kya keh rahe hain, bas yehi hamari khabrein hain.